Wo Hamein Rah Mein Mil Jaen Zaruri To Nahin

wo hamein rah mein mil jaen zaruri to nahin

KHud-ba-KHud fasle miT jaen zaruri to nahin

chand chehre ki hain gum waqt ke sannaTe mein

hum magar un ko bhula paen zaruri to nahin

jin se bichhDe the to tarik thi duniya sari

hum unhen DhunD ke phir laen zaruri to nahin

tishnagi had se siwa aur safar jari hai

par sarabon se bahal jaen zaruri to nahin

zindagi tu ne to sach hai ki wafa hum se na ki

hum magar KHud tujhe Thukraen zaruri to nahin

ju-e-ehsas mein larzan ye gurezan lamhat

naghma-e-dard mein Dhal jaen zaruri to nahin

ye to sach hai ki hai ek umr se bas ek talash

hum magar apna pata paen zaruri to nahin

(1204) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Hamein Rah Mein Mil Jaen Zaruri To Nahin In English By Famous Poet Zahida Zaidi. Wo Hamein Rah Mein Mil Jaen Zaruri To Nahin is written by Zahida Zaidi. Read famous Poem Wo Hamein Rah Mein Mil Jaen Zaruri To Nahin for youth and Student by Zahida Zaidi. Free Download Wo Hamein Rah Mein Mil Jaen Zaruri To Nahin in PDF.