Dil Dekh Rahe Hain Wo Jigar Dekh Rahe Hain

dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain

chhoDe hue tiron ka asar dekh rahe hain

har rose jafaen hain nai aur naya gham

sau sau tarah aashiq ka jigar dekh rahe hain

har lamha zamane ka hai hangama-ba-daman

paida hai qayamat ka asar dekh rahe hain

ai gardish-e-dauran tere jaan-soz nazare

dekhe nahin jate hain magar dekh rahe hain

hum mai-kade mein ja ke hue tishna ziyaada

badli hui saqi ki nazar dekh rahe hain

aashob ka ai 'taj' hai ye haal ki har rose

milte hue miTTi mein guhar dekh rahe hain

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Dekh Rahe Hain Wo Jigar Dekh Rahe Hain In English By Famous Poet Zahiir Ahmad Taaj. Dil Dekh Rahe Hain Wo Jigar Dekh Rahe Hain is written by Zahiir Ahmad Taaj. Read famous Poem Dil Dekh Rahe Hain Wo Jigar Dekh Rahe Hain for youth and Student by Zahiir Ahmad Taaj. Free Download Dil Dekh Rahe Hain Wo Jigar Dekh Rahe Hain in PDF.