Mujh Par Surur Chha Gaya Baada-e-dil-nawaz Se

mujh par surur chha gaya baada-e-dil-nawaz se

duniya meri badal gai ek nigah-e-naz se

aankh mein gar na aa sake dil to maqam hai tera

KHalwat-e-dil mein aa kabhi apne harim-e-naz se

saqi-e-mehrban pila baada-e-marifat-asar

mast bana ke de KHabar husn-e-azal ke raaz se

dekh nigah-e-shauq se husn-o-jamal ka jahan

jalwa hi jalwa chaar-su husn-e-nazar-nawaz se

jam-e-farang ka nasha fikr-o-nazar ki marg hai

dil ka bhala na ho saka baada-e-KHun-taraaz se

mujh ko fareb de gaya tujh ko fareb de gaya

zahr pila gaya farang jam-e-zamana-saz se

qalb-o-jigar bhaDak uThe baada-e-nau ki aag se

dil ko sakun mila hamein 'taj' mai-e-hijaz se

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Par Surur Chha Gaya Baada-e-dil-nawaz Se In English By Famous Poet Zahiir Ahmad Taaj. Mujh Par Surur Chha Gaya Baada-e-dil-nawaz Se is written by Zahiir Ahmad Taaj. Read famous Poem Mujh Par Surur Chha Gaya Baada-e-dil-nawaz Se for youth and Student by Zahiir Ahmad Taaj. Free Download Mujh Par Surur Chha Gaya Baada-e-dil-nawaz Se in PDF.