Naghma Ke Soz Se Ayan Dil Ka Gudaz Ho Gaya
naghma ke soz se ayan dil ka gudaz ho gaya
lakh chhupaya jazb-e-ishq fash ye raaz ho gaya
bazm mein mushtahar hui meri hadis-e-arzu
shola-e-jaan bhaDak uTha naghma-e-saz ho gaya
fash na kar saka koi raaz tere wajud ka
fash mujhe jo kar diya fash ye raaz ho gaya
banda-e-be-nawa baDhe jinn-o-malak se tha ajab
lutf-e-karim ka magar zarra-nawaz ho gaya
mere gunahon se siwa rahmaten hain teri karim
lakh KHataon par bhi tu banda-nawaz ho gaya
farhat-e-bandagi mili tabish-e-zindagi mili
dil se jo ek bar main mahw-e-namaz ho gaya
'taj' niyaz-e-ashiqi raaz-e-numud-e-husn hai
jis pe ye raaz khul gaya KHud hi wo raaz ho gaya
(1022) Peoples Rate This