Zabt-e-gham Mushkil Hai Aur Mushkil Hai Mushkil Ka Jawab

zabt-e-gham mushkil hai aur mushkil hai mushkil ka jawab

naseh-e-mushfiq tere bas ka nahin dil ka jawab

aaine mein dekhte hain husn-e-kaamil ka jawab

koi puchhe kya wo denge jazba-e-dil ka jawab

alwidaa kah kar jo dete hain mere dil ka jawab

aa paDi mushkil ki kya ho aisi mushkil ka jawab

KHak-e-parwana ho shayad zabt-e-kaamil ka jawab

shama ho sakti hai kab mere bujhe dil ka jawab

ai mere jazb-e-mohabbat teri ye be-tabiyan

aur KHamoshi hi KHamoshi jaan-e-mahfil ka jawab

ek sawal-e-shauq par us ne hamein ghayal kiya

hashr ke din dekhna hai kya ho qatil ka jawab

naghmagi inkar ki bhi hai surur-afza magar

ab kahan hai lan-tarani husn-e-kaamil ka jawab

un se aankhen chaar kar ke 'taj' main khoya gaya

ek bhari mahfil mein be-KHud kar gaya dil ka jawab

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zabt-e-gham Mushkil Hai Aur Mushkil Hai Mushkil Ka Jawab In English By Famous Poet Zahiir Ahmad Taaj. Zabt-e-gham Mushkil Hai Aur Mushkil Hai Mushkil Ka Jawab is written by Zahiir Ahmad Taaj. Read famous Poem Zabt-e-gham Mushkil Hai Aur Mushkil Hai Mushkil Ka Jawab for youth and Student by Zahiir Ahmad Taaj. Free Download Zabt-e-gham Mushkil Hai Aur Mushkil Hai Mushkil Ka Jawab in PDF.