Achchha Hua Ki Dam Shab-e-hijran Nikal Gaya

achchha hua ki dam shab-e-hijran nikal gaya

dushwar tha ye kaam par aasan nikal gaya

bak bak se nasehon ki hua ye to faeda

main ghar se chaak kar ke gireban nikal gaya

phir dekhna ki KHizr phirega baha baha

gar su-e-dasht main kabhi giryan nikal gaya

KHubi safa-e-dil ki hamari ye jaaniye

sine ke par saf jo paikan nikal gaya

hangame kaise rahte hain apne sabab se wan

hum se hi nam-e-kucha-e-jaanan nikal gaya

furqat mein kar-e-wasl liya wah wah se

har aah-e-dil ke sath ek arman nikal gaya

behtar hua ki aae wo mahfil mein be-naqab

'arif' ghurur-e-mah-e-jabinan nikal gaya

(1092) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchha Hua Ki Dam Shab-e-hijran Nikal Gaya In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Achchha Hua Ki Dam Shab-e-hijran Nikal Gaya is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Achchha Hua Ki Dam Shab-e-hijran Nikal Gaya for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Achchha Hua Ki Dam Shab-e-hijran Nikal Gaya in PDF.