Har GhaDi Chalti Hai Talwar Tere Kuche Mein

har ghaDi chalti hai talwar tere kuche mein

roz mar rahte hain do chaar tere kuche mein

haal sar ka mere zahir hai tere kya kije

koi sabit bhi hai diwar tere kuche mein

shakl ko kyunki na har dafa badal kar aaun

hain meri tak mein aghyar tere kuche mein

gham se badli hai meri shakl to be-KHauf-o-KHatar

din ko bhi aate hain sau bar tere kuche mein

na kare su-e-chaman bhul ke bhi ruKH hargiz

aan kar bulbul-e-gulzar tere kuche mein

naragistan na samajh kholi hui aankhon ko

hain tere talib-e-didar tere kuche mein

lae jab ghar se to behosh paDa tha 'arif'

ho gaya aan ke hoshiyar tere kuche mein

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har GhaDi Chalti Hai Talwar Tere Kuche Mein In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Har GhaDi Chalti Hai Talwar Tere Kuche Mein is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Har GhaDi Chalti Hai Talwar Tere Kuche Mein for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Har GhaDi Chalti Hai Talwar Tere Kuche Mein in PDF.