Hum Ko Us ShoKH Ne Kal Dar Talak Aane Na Diya

hum ko us shoKH ne kal dar talak aane na diya

dar-o-diwar ko bhi haal sunane na diya

parda-e-chashm mein har dam to chhupae aansu

be-qarari ne mujhe raaz chhupane na diya

mujh ko aaluda rakha is meri gumrahi ne

araq-e-sharm-e-gunah bhi to bahane na diya

tere kahne se main ab laun kahan se naseh

sabr jab is dil-e-muztar ko KHuda ne na diya

mana hai bas ki KHur-o-KHwab hamein gham mein tere

mar ke sone na diya zahr bhi khane na diya

hun sitamgar main jafaon se teri sharminda

na-tawani ne mujhe sar bhi uThane na diya

dam ka aana to baDi baat hai lab par 'arif'

zoaf ne harf-e-shikayat kabhi aane na diya

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko Us ShoKH Ne Kal Dar Talak Aane Na Diya In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Hum Ko Us ShoKH Ne Kal Dar Talak Aane Na Diya is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Hum Ko Us ShoKH Ne Kal Dar Talak Aane Na Diya for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Hum Ko Us ShoKH Ne Kal Dar Talak Aane Na Diya in PDF.