Is Dar Pe Mujhe Yar Machalne Nahin Dete

is dar pe mujhe yar machalne nahin dete

arman mere ji ke nikalne nahin dete

dam dam mein KHabar pahunche hai jo aane ki apni

hai jaan labon par wo nikalne nahin dete

aashob-e-qayamat se zi-bas KHauf hai sab ko

do chaar qadam bhi unhen chalne nahin dete

jata hai safa-e-ruKH-e-dildar pe jab dil

maqdur tak apne to phisalne nahin dete

aadat mein karo farq na tum apni nigah se

kyun zahr use aaj ugalne nahin dete

wo parda-nashini ki riayat hai tumhaari

hum baat bhi KHalwat se nikalne nahin dete

ye dast-basar rahne ka 'arif' wo mahal hai

us ja kaf-e-afsos bhi malne nahin dete

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Dar Pe Mujhe Yar Machalne Nahin Dete In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Is Dar Pe Mujhe Yar Machalne Nahin Dete is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Is Dar Pe Mujhe Yar Machalne Nahin Dete for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Is Dar Pe Mujhe Yar Machalne Nahin Dete in PDF.