Kya Kahen Hum The Ki Ya Dida-e-tar BaiTh Gae

kya kahen hum the ki ya dida-e-tar baiTh gae

qulzum-e-ashk mein jun laKHt-e-jigar baiTh gae

na-tawan hum yun teri bazm se nikle kyunkar

kise malum hai hum aa ke kidhar baiTh gae

aap ko KHun ke aansu hi rulana hoga

haal-e-dil kahne ko hum apna agar baiTh gae

kis ko ek dam ka bharosa hai ki manind-e-habab

bahr-e-hasti mein idhar aae udhar baiTh gae

dur samjha hai raqibon ko yahan se 'arif'

yar ke pas jo be-KHauf-o-KHatar baiTh gae

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahen Hum The Ki Ya Dida-e-tar BaiTh Gae In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Kya Kahen Hum The Ki Ya Dida-e-tar BaiTh Gae is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Kya Kahen Hum The Ki Ya Dida-e-tar BaiTh Gae for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Kya Kahen Hum The Ki Ya Dida-e-tar BaiTh Gae in PDF.