Na Aae Samne Mere Agar Nahin Aata

na aae samne mere agar nahin aata

mujhe to us ke siwa kuchh nazar nahin aata

bala use bhi to kahte hain log aalam mein

ajab hai kis liye wo mere ghar nahin aata

wo mere samne tuba ko qad se map chuke

unhon ke nam-e-KHuda ta-kamar nahin aata

na be-KHatar raho mujh se ki dard-mandon ke

labon pe nala koi be-KHatar nahin aata

Dara diya hai kisi ne use magar 'arif'

mere KHarabe ki jaanib KHizar nahin aata

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aae Samne Mere Agar Nahin Aata In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Na Aae Samne Mere Agar Nahin Aata is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Na Aae Samne Mere Agar Nahin Aata for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Na Aae Samne Mere Agar Nahin Aata in PDF.