Na-tawani Mein Palak Ko Bhi Hilaya Na Gaya

na-tawani mein palak ko bhi hilaya na gaya

dekh ke un ko ishaare se bulaya na gaya

saKHt-tar sang se bhi dil hai unhon ka shayad

naqsh jis par kisi unwan biThaya na gaya

gulshan-e-KHuld mein har-chand ki dil bahlaya

kucha-e-yar magar dil se bhulaya na gaya

shikan-e-zulf se dil saf nazar aata hai

is andhere mein tajjub hai chhupaya na gaya

dekh kar kal wo mera haal-e-pareshan 'arif'

aisa ghabrae ki aankhon ko churaya na gaya

(920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na-tawani Mein Palak Ko Bhi Hilaya Na Gaya In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Na-tawani Mein Palak Ko Bhi Hilaya Na Gaya is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Na-tawani Mein Palak Ko Bhi Hilaya Na Gaya for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Na-tawani Mein Palak Ko Bhi Hilaya Na Gaya in PDF.