Raat Yaad-e-nigah-e-yar Ne Sone Na Diya

raat yaad-e-nigah-e-yar ne sone na diya

shadi-e-wada-e-dildar ne sone na diya

ho gai subh dar-e-KHana pe baiThe baiThe

fitna-e-chashm-e-fusun-kar ne sone na diya

shab wo be-kal rahe kakul mein phansa kar us ko

shor-o-fariyaad-e-dil-e-zar ne sone na diya

tha shab-e-hijr mein ek KHun ka dariya jari

ek pal dida-e-KHun-bar ne sone na diya

raat bhar KHun-e-jigar hum ne kiya hai 'arif'

fikr-e-rangini-e-ashaar ne sone na diya

is tan-e-zar pe ek bar-e-giran hai ye bhi

yar ke saya-e-diwar ne sone na diya

ab to kar dewen riha wo mujhe shayad ki unhen

meri zanjir ki jhankar ne sone na diya

(1121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Yaad-e-nigah-e-yar Ne Sone Na Diya In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Raat Yaad-e-nigah-e-yar Ne Sone Na Diya is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Raat Yaad-e-nigah-e-yar Ne Sone Na Diya for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Raat Yaad-e-nigah-e-yar Ne Sone Na Diya in PDF.