Sab Se Behtar Hai Ki Mujh Par Mehrban Koi Na Ho

sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho

ham-nashin koi na ho aur raaz-dan koi na ho

mariye is hasrat mein gar qatil na hath aawe kahin

roiye apne pe KHud gar nauha-KHwan koi na ho

bich mein hai mere us ke tu hi ai aah-e-hazin

sulh kyunkar howe jab tak darmiyan koi na ho

shikwa kis se kijiye KHaliq ki marzi hai yahi

nukta-chin paida hon lakhon nukta-dan koi na ho

mujh talak qatil to qatil maut bhi aati nahin

kis ko dije jaan jab KHwahan-e-jaan koi na ho

mane gar koi nasihat 'arif'-e-dil-KHasta ki

bhul kar bhi wala-e-atish-bajaan koi na ho

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Se Behtar Hai Ki Mujh Par Mehrban Koi Na Ho In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Sab Se Behtar Hai Ki Mujh Par Mehrban Koi Na Ho is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Sab Se Behtar Hai Ki Mujh Par Mehrban Koi Na Ho for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Sab Se Behtar Hai Ki Mujh Par Mehrban Koi Na Ho in PDF.