Us Pe Karna Mere Nalon Ne Asar ChhoD Diya

us pe karna mere nalon ne asar chhoD diya

mujh ko ek lutf ki kar ke jo nazar chhoD diya

saunp kar KHana-e-dil gham ko kidhar jate ho

phir na paoge agar us ne ye ghar chhoD diya

ashk-e-sozan ne jalae mere lakhon daman

ponchhna main ne to ab dida-e-tar chhoD diya

baKHiya-gar jal gaya kya hath tera sozish se

karte karte jo rafu chaak-e-jigar chhoD diya

gulshan-e-dahr mein KHami ne bachaya hum ko

dekh kar KHam kudurat ne samar chhoD diya

le gae samne hakim ke mere qatil ko

is ko us ne bhi samajh KHun-e-pidar chhoD diya

nek o bad kuchh nazar aata nahin wo wahshat hai

parda ghaflat ka mere pesh-e-nazar chhoD diya

kucha-e-zulf ko katra ke gaya dil ruKH par

us ne wo rasta-e-pur-KHauf-o-KHatar chhoD diya

ai falak KHana-KHarabi ki hai parwa kis ko

dasht mein rahte hain muddat hui ghar chhoD diya

mujh pe ehsan saba ka hai ki kuche mein tere

KHak ko meri sar-e-rahguzar chhoD diya

mujh ko ai aah tajjub hai ki kashana-e-ghair

kal shab-e-hijr ne barsa ke sharar chhoD diya

bhar gaya dil mera ek chiz ko khate khate

KHun-e-dil khaenge ab KHun-e-jigar chhoD diya

bojh se aap hi mar jaega kyun ho badnam

ye samajh kar but-e-saffak ne sar chhoD diya

nahin tir-e-nigah-e-yar se bachna mumkin

kal hai maujud wo din aaj agar chhoD diya

aa gaya dil mein jo aalam ka musaKHKHar karna

zulf ko chehre pe hangam-e-sahar chhoD diya

ye nahin hai rah-e-but-KHana kidhar jaana hai

aaj se hum ne tera sath KHizar chhoD diya

kar diya tiron se chhalni mujhe sara lekin

KHun hone ke liye us ne jigar chhoD diya

sath dekha tha use kal to tere ai majnun

aaj us 'arif'-e-wahshi ko kidhar chhoD diya

(1804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Pe Karna Mere Nalon Ne Asar ChhoD Diya In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Us Pe Karna Mere Nalon Ne Asar ChhoD Diya is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Us Pe Karna Mere Nalon Ne Asar ChhoD Diya for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Us Pe Karna Mere Nalon Ne Asar ChhoD Diya in PDF.