Ai Dil Teri Aahon Mein Itna To Asar Aae

ai dil teri aahon mein itna to asar aae

jab yaad karun un ki taswir nazar aae

har chand hasin the tum har chand jawan the tum

par ishq ke sae mein kuchh aur nikhar aae

main khel samajhta tha mujh ko ye KHabar kya thi

kya jaaniye kab mere dil mein wo utar aae

us husn ke jalwon ne kuchh sehr kiya aisa

nazron mein na meri phir kuchh shams-o-qamar aae

phir kis se milen nazren phir kis ne mujhe chheDa

phir daur-e-mohabbat ke sab naqsh ubhar aae

tufan-e-hawadis ne kab kab na hamein ghera

dariya-e-mohabbat mein kya kya na bhanwar aae

halki si siyahi hai tahrir-e-mohabbat ki

aansu ki jagah bah kar phir KHun-e-jigar aae

manzil ki tamanna ne rukne na diya us ko

raste mein musafir ke go lakh shajar aae

pur-KHar thin viran thin rahen to mohabbat ki

jaanbaz tere lekin be-KHauf-o-KHatar aae

go lakh kaha dil ne ruk jao Thahar jao

hum phir bhi na jaane kyun chup-chap guzar aae

kya aur na tha koi jo un ko samajh pata

bazar-e-jihaalat mein kyun ahl-e-hunar aae

is daur-e-taraqqi mein bas wo hai 'zaki' achchha

jo sidhe ya ulTe hi har kaam ko kar aae

(1286) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dil Teri Aahon Mein Itna To Asar Aae In English By Famous Poet Zaki Kakorvi. Ai Dil Teri Aahon Mein Itna To Asar Aae is written by Zaki Kakorvi. Read famous Poem Ai Dil Teri Aahon Mein Itna To Asar Aae for youth and Student by Zaki Kakorvi. Free Download Ai Dil Teri Aahon Mein Itna To Asar Aae in PDF.