Ai Qalandar Aa Tasawwuf Mein Sanwar Kar Raqs Kar

ai qalandar aa tasawwuf mein sanwar kar raqs kar

ishq ke sab KHarzaron se guzar kar raqs kar

aql ki wusat bahut hai ishq mein fursat hai kam

aql ki ayyariyon ko darguzar kar raqs kar

dar-ba-dar kyun DhunDhta phirta hai nadida sanam

apne dil ke aaine par ek nazar kar raqs kar

ye jahan ek mai-kada kam-zarf hai saqi tera

is KHarabe se pare sham-o-sahar kar raqs kar

rustam-o-dara sikandar mil gae sab KHak mein

ban ke sarmad zindagi apni basar kar raqs kar

is zamin par jism-e-KHaki zehn-o-dil ho arsh par

yun kabhi 'zakir' riyazat mein bikhar kar raqs kar

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Qalandar Aa Tasawwuf Mein Sanwar Kar Raqs Kar In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Ai Qalandar Aa Tasawwuf Mein Sanwar Kar Raqs Kar is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Ai Qalandar Aa Tasawwuf Mein Sanwar Kar Raqs Kar for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Ai Qalandar Aa Tasawwuf Mein Sanwar Kar Raqs Kar in PDF.