Badan Ke Dosh Pe Sanson Ka Maqbara Main Hun

badan ke dosh pe sanson ka maqbara main hun

KHud apni zat ka nauha hun marsiya main hun

bila-sabab bhi nahin yasiyat tabiat mein

azal se KHana-badoshi ka silsila main hun

mera wajud tumhaari baqa ka zamin hai

tumhaare an-kahe jazbon ka aaina main hun

bahaaren jis pe hon nazan chaman bhi rashk kare

nazar-nawaz ruton ka wo qafila main hun

bichhaD ke mujh se abas manzilon ki chahat hai

jidhar bhi jaoge har-samt rasta main hun

un aahaTon pe meri wahm ka guman kaisa

main kah chuka hun meri jaan barha main hun

ghazal hai koi to main bhi hun lazmi hissa

kisi hayat ke misre mein qafiya main hun

tumhein KHabar ho to dena pata mujhe 'zakir'

jise talash hai KHud ki wo gum-shuda main hun

(1174) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Ke Dosh Pe Sanson Ka Maqbara Main Hun In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Badan Ke Dosh Pe Sanson Ka Maqbara Main Hun is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Badan Ke Dosh Pe Sanson Ka Maqbara Main Hun for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Badan Ke Dosh Pe Sanson Ka Maqbara Main Hun in PDF.