Dard Ko Zabt Ki Sarhad Se Guzar Jaane Do

dard ko zabt ki sarhad se guzar jaane do

ab sameTo na hamein aur bikhar jaane do

hum se hoga na kabhi apni KHudi ka sauda

hum agar dil se utarte hain utar jaane do

tum tayyun na karo apni hadon ka hargiz

jab bhi jaise bhi jahan jae nazar jaane do

itna kafi hai ki wo sath nahin hai mere

kyun hua kaise hua chaak jigar jaane do

dil jalao ki taKHayyul ka jahan raushan ho

tirgi KHatm karo raat sanwar jaane do

ishq sani hai to phir us mein shikayat kaisi

hum na kahte the ki ek zaKHm hai bhar jaane do

yar mamul pe lauT aaenge kuchh sabr karo

us fusun-gar ki nigahon ka asar jaane do

shart jina hai bhaTakna to bahana hai faqat

wo jidhar jata hai har sham-o-sahar jaane do

main ne roka tha use is ka hawala de kar

ruTh kar phir bhi wo jata hai agar jaane do

KHush-guman hai wo bahut jit pe apni 'zakir'

hum bhi chal sakte the ek chaal magar jaane do

(1610) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ko Zabt Ki Sarhad Se Guzar Jaane Do In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Dard Ko Zabt Ki Sarhad Se Guzar Jaane Do is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Dard Ko Zabt Ki Sarhad Se Guzar Jaane Do for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Dard Ko Zabt Ki Sarhad Se Guzar Jaane Do in PDF.