Dard Shayan-e-shan-e-dil Bhi Nahin

dard shayan-e-shan-e-dil bhi nahin

aur shab-e-hijr mustaqil bhi nahin

yun gale mil ke faeda kya hai

zaKHm andar se mundamil bhi nahin

wasl bhi hai firaq bhi is mein

mausam-e-ishq moatadil bhi nahin

har kisi se ye mel kyun khae

dil to phir dil hai aab-o-gil bhi nahin

soch hai kuchh haqiqaten kuchh hain

KHwab-e-tabir muttasil bhi nahin

ab bhi jari hai raqs miTTi ka

sans ke tar muzmahil bhi nahin

hum jo ruThe hain jaan se 'zakir'

rabt TuTa hai munfasil bhi nahin

(1016) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Shayan-e-shan-e-dil Bhi Nahin In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Dard Shayan-e-shan-e-dil Bhi Nahin is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Dard Shayan-e-shan-e-dil Bhi Nahin for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Dard Shayan-e-shan-e-dil Bhi Nahin in PDF.