Dhup The Sab Raste Darkar Tha Saya Hamein

dhup the sab raste darkar tha saya hamein

ek sarab-e-KHush-numa ne aur tarsaya hamein

dil zamin par us ka chehra naqsh ho kar rah gaya

barha phir aaine ne KHud hi Thukraya hamein

dhup sahra dhul dariya KHar raston ki chubhan

manzilon ke shauq ne kya kya na dikhlaya hamein

mustarad karta gaya hai dilruba chehron ko dil

baad us ke koi chehra kab bhala bhaya hamein

hum kahin matub the majzub the mahbub the

jis ki jaisi thi nazar us ne wahi paya hamein

dard-o-rahat wasl-o-furqat ishq ke hain rang-o-rup

jate jate us ne 'zakir' KHub samjhaya hamein

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup The Sab Raste Darkar Tha Saya Hamein In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Dhup The Sab Raste Darkar Tha Saya Hamein is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Dhup The Sab Raste Darkar Tha Saya Hamein for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Dhup The Sab Raste Darkar Tha Saya Hamein in PDF.