Dil Ke Bujhte Hue ZaKHmon Ko Hawa Deta Hai

dil ke bujhte hue zaKHmon ko hawa deta hai

rose aata hai naya KHwab dikha deta hai

us ka andaz-e-masihai nirala sab se

chaaragar hosh mein aane pe dawa deta hai

har qadam KHak mein kuchh KHwab milate rahna

hijr ki raat yahi shaghl maza deta hai

marne jine ka kahan hosh tere rindon ko

pa-e-wahshat bhi ajab naqsh bana deta hai

dastaken deta hai paiham dar-e-dil par koi

ek saya mujhe nindon se jaga deta hai

phul sa lahja hua karta tha jis ka 'zakir'

ab wo baaton mein koi baat bana deta hai

(1153) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Bujhte Hue ZaKHmon Ko Hawa Deta Hai In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Dil Ke Bujhte Hue ZaKHmon Ko Hawa Deta Hai is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Dil Ke Bujhte Hue ZaKHmon Ko Hawa Deta Hai for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Dil Ke Bujhte Hue ZaKHmon Ko Hawa Deta Hai in PDF.