Fikr Mein Dube The Sab Aur Ba-hunar Koi Na Tha

fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha

zindagi ki shaKH par puKHta samar koi na tha

ga rahe the apni apni dhun mein sab ghazlen magar

'mir'-o-'ghaalib' 'dagh'-o-'hasrat' ya 'jigar' koi na tha

raat-bhar zulmat mein lipTi bastiyan kahti rahin

chand tare kahkashan jugnu qamar koi na tha

dekhne mein yun ba-zahir sab hamare sath the

jab saron par dhup aai ham-safar koi na tha

KHun ke rishton ki garmi sard thi chaaron taraf

sab tasalli de rahe the chaaragar koi na tha

rind-o-zahid shaiKH-o-sufi sab ke sab tishna hi the

kis ko dete mai-kada jab mo'atabar koi na tha

phir ye socha likh hi bhejun haal-e-dil us ko magar

uD chuke the sab kabutar nama-bar koi na tha

zindagi-bhar bhigti palken thin us ki muntazir

hum se baDh kar KHud se 'zakir' be-KHabar koi na tha

(1131) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr Mein Dube The Sab Aur Ba-hunar Koi Na Tha In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Fikr Mein Dube The Sab Aur Ba-hunar Koi Na Tha is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Fikr Mein Dube The Sab Aur Ba-hunar Koi Na Tha for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Fikr Mein Dube The Sab Aur Ba-hunar Koi Na Tha in PDF.