Hail Dilon Ki Rah Mein Kuchh To Ana Bhi Hai

hail dilon ki rah mein kuchh to ana bhi hai

ghafil samajh raha hai wahi ba-wafa bhi hai

aadat buri hai gham mein sahaaron ki dosto

tanha sulagte rahne ka apna maza bhi hai

hum ne baDe hi pyar se rishte sajae the

ab tum kaho ki rishton mein kya kuchh bacha bhi hai

ek rabt-e-mustaqil hai isi rahguzar ke sath

jis rahguzar pe qafla-e-dil luTa bhi hai

hum rahrawan-e-shahr-e-tamanna ko kya pata

manzil rah-e-talab se kahan tak juda bhi hai

hai aaine mein aks mera zahiri magar

baatin mein jhankiye ki wo mujh se juda bhi hai

mazlum-e-husn hun so na tanha samajh mujhe

jis ka nahin hai koi to us ka KHuda bhi hai

be-KHauf banTte raho zulmat mein nur tum

apni tapish se kya koi jugnu jala bhi hai

paDhiye mujhe saliqe se phir sochiye janab

kya dard-e-mustaqil hai maraz la-dawa bhi hai

'zakir' ye taj-o-taKHt hai mansub un ke nam

jin ke saron pe saya-e-baal-e-huma bhi hai

(1083) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hail Dilon Ki Rah Mein Kuchh To Ana Bhi Hai In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Hail Dilon Ki Rah Mein Kuchh To Ana Bhi Hai is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Hail Dilon Ki Rah Mein Kuchh To Ana Bhi Hai for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Hail Dilon Ki Rah Mein Kuchh To Ana Bhi Hai in PDF.