Kabhi Azabon Mein Bas Rahi Hai Kabhi Ye KHwabon Mein KaT Rahi Hai

kabhi azabon mein bas rahi hai kabhi ye KHwabon mein kaT rahi hai

ye muKHtasar si hai zindagi jo hazar KHanon mein baT rahi hai

kahin pe KHushiyon ki barishen hain kahin pe naghmat-e-aish-o-masti

magar gharibon ke gulshanon se KHizan hi baDh kar lipaT rahi hai

kahan hai jazbe mohabbaton ke kahan hai rasm-e-wafa-parasti

mili thi tahzib ki badaulat wahi mohabbat to ghaT rahi hai

lage hain baDhne nazar nazar mein fahashiyon ke tamam sapne

saron pe saya-fagan thi kal tak rida haya ki simaT rahi hai

jo sin-rasida shajar the sare jaDon se apni ukhaD rahe hain

zamin ke rishton ki chhanw yaro saron se apne bhi chhaT rahi hai

kise sunaenge ab wo 'zakir' ki chahaton mein kashish nahin hai

nazar se ojhal main ho raha hun nigah se wo bhi to haT rahi hai

(1257) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Azabon Mein Bas Rahi Hai Kabhi Ye KHwabon Mein KaT Rahi Hai In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Kabhi Azabon Mein Bas Rahi Hai Kabhi Ye KHwabon Mein KaT Rahi Hai is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Kabhi Azabon Mein Bas Rahi Hai Kabhi Ye KHwabon Mein KaT Rahi Hai for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Kabhi Azabon Mein Bas Rahi Hai Kabhi Ye KHwabon Mein KaT Rahi Hai in PDF.