KHak Sahraon Ki Palkon Pe Saja Li Humne
KHak sahraon ki palkon pe saja li hum ne
zindagi jaisi mili hans ke nibha li hum ne
jam-e-gham pite rahe mai ka sahaara na liya
darmiyan dard ke ek rah nikali hum ne
shahr-dar-shahr phire dasht-o-daman mein bhaTke
masnad-e-qais dil-o-jaan se sambhaali hum ne
hum bhi ashkon ki tijarat ka hunar rakhte hain
ashk arzan the bahut sharh baDha li hum ne
lamha lamha tere ehsas ne karwaT badli
raat KHwabon pe jami gard haTa li hum ne
hum se puchha tha kisi ne ki mohabbat kya hai
be-KHudi mein teri taswir bana li hum ne
ruTh kar shahr-e-nigaran ke chalan se 'zakir'
apni duniya hi bahut dur basa li hum ne
(1183) Peoples Rate This