Labon Ki Jumbish Nawa-e-bulbul Hai ShoKH Lahja Tera Qayamat

labon ki jumbish nawa-e-bulbul hai shoKH lahja tera qayamat

daraaz qamat ghazal aankhen gulab chehra tera qayamat

ghaTaen zulfen KHumar palken mahin aanchal pe mah-o-anjum

suhani raaton ki chandni mein hai chhat pe jalwa tera qayamat

zamin-e-dil par ada-e-dilbar chalae nashtar uThae mahshar

nazar uThana nazar jhukana har ek harba tera qayamat

gulon ki lali shagufta aariz pe fasl-e-gul ki safir Thahri

nashile lab ki halawaton se dhaDakta naghma tera qayamat

jo tu ne khole hawa mein gesu mahak uTha hai tamam gulshan

hasin sumbul ke darmiyan hai damakta chehra tera qayamat

tere shabistan ke goshe goshe mein raushni ka zuhur har-pal

aqidaton ke diye se raushan nafis kamra tera qayamat

kanwal badan par machalti sansen chhalakte saghar ki tarjuman hai

gudaz banhen surahi gardan sarapa naqsha tera qayamat

wafaen mujh se jafaen mujh se adaen har-pal yahi hain 'zakir'

kabhi hai ghamza kabhi hai ishwa ye naz naKHra tera qayamat

(1226) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Labon Ki Jumbish Nawa-e-bulbul Hai ShoKH Lahja Tera Qayamat In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Labon Ki Jumbish Nawa-e-bulbul Hai ShoKH Lahja Tera Qayamat is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Labon Ki Jumbish Nawa-e-bulbul Hai ShoKH Lahja Tera Qayamat for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Labon Ki Jumbish Nawa-e-bulbul Hai ShoKH Lahja Tera Qayamat in PDF.