Muddat Hui Na Mujhse Mera Rabta Hua

muddat hui na mujh se mera rabta hua

KHud ko talash karte hue gum-shuda hua

sab rahnuma hai kaun kisi aur ki sune

manzil se dur yun hi nahin qafila hua

aise mila wo aaj mujhe ajnabi laga

milna bhi jaise us ka koi saneha hua

lagti hai ab fuzul tere qurb ki dua

hona tha jab qarib tabhi fasla hua

main ne to bas kaha tha use jaanta hun main

phir shahr mein hum hi pe baDa tabsira hua

josh-e-junun mein chupke se shah-rag hi kaT li

kahne ko ko log kahte rahe hadisa hua

KHamosh do dilon mein kahin mel tha zarur

warna tha kya sabab ki juda rasta hua

'zakir' ye zindagi ki haqiqat sarab hai

jab aagahi mili to yahi tajraba hua

(1134) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Hui Na Mujhse Mera Rabta Hua In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Muddat Hui Na Mujhse Mera Rabta Hua is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Muddat Hui Na Mujhse Mera Rabta Hua for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Muddat Hui Na Mujhse Mera Rabta Hua in PDF.