PeT Ki Aag Mein Barbaad Jawani Kar Ke

peT ki aag mein barbaad jawani kar ke

panchhi lauTe hain abhi naql-e-makani kar ke

KHana-e-dil mein ghaDi-bhar ko Thaharna hai unhen

phir guzar jaenge har baat purani kar ke

ishq izhaar ka talib hai na matlub-e-nazar

faeda kya hai miyan shoala-bayani kar ke

ab wahan KHak uDa karti hai armanon ki

hum chale aae the manzil pe nishani kar ke

par lag jaega sanson ka safina ek rose

dhaDkanon mein teri yaadon se rawani kar ke

chand lamhon ka mera us ka safar tha aisa

raat ho jaise kahin sham suhani kar ke

us ki nazron mein haqiqat hai fasana 'zakir'

chhoD jaega mujhe ab wo kahani kar ke

(1192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PeT Ki Aag Mein Barbaad Jawani Kar Ke In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. PeT Ki Aag Mein Barbaad Jawani Kar Ke is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem PeT Ki Aag Mein Barbaad Jawani Kar Ke for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download PeT Ki Aag Mein Barbaad Jawani Kar Ke in PDF.