Raat Ka Husn Bhala Kab Wo Samajhta Hoga

raat ka husn bhala kab wo samajhta hoga

chand be-faiz andheron mein nikalta hoga

chand lamhon ki rifaqat ka asar hai shayad

dard miTha sa kahin aur bhi uThta hoga

hichkiyon se yahi andaza lagaya hum ne

yaad koi to dil-o-jaan se karta hoga

sath guzre hue mausam ka tasawwur le kar

barishon mein wo har ek sal bahakta hoga

bas yahi soch ke har rose likha karta hun

wo mera gham mere ashaar mein paDhta hoga

us ke ashkon ka gunahgar main ho jaunga

wo mujhe yaad agar kar ke sisakta hoga

yaad hongi use bhuli hui qasmen 'zakir'

wo mere zikr pe chup-chap Thaharta hoga

(1182) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ka Husn Bhala Kab Wo Samajhta Hoga In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Raat Ka Husn Bhala Kab Wo Samajhta Hoga is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Raat Ka Husn Bhala Kab Wo Samajhta Hoga for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Raat Ka Husn Bhala Kab Wo Samajhta Hoga in PDF.