Sabhi Ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani Hai

sabhi ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani hai

hamein lagta hai apna dil nahin ek rajdhani hai

yahin tahrir hai lamhat-e-sar-basta ke afsane

kitab-e-zindagi ke har waraq par ek kahani hai

shikast-o-reKHt ka manzar meri aankhon mein rahne do

mujhe apne hi KHwabon ki abhi qimat chukani hai

talluq TuT jaane se mohabbat mar nahin jati

ye wo dariya hai jis mein bas rawani hi rawani hai

ye mere ashk-e-awara siyah-raaton mein jugnu hain

saja le apni palkon par unhen main zau-fishani hai

zara badle nahin hain ganw se hum shahr mein aa kar

hamare KHun mein zakir wahi saj-dhaj purani hai

(1094) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabhi Ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani Hai In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Sabhi Ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani Hai is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Sabhi Ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani Hai for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Sabhi Ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani Hai in PDF.