Sukut-e-shab Mein Dil-e-dagh-dagh Raushan Hai

sukut-e-shab mein dil-e-dagh-dagh raushan hai

ki zaKHm zaKHm nahin hai charagh raushan hai

abhi junun salamat hai mera jaan-e-ghazal

kiran kiran hai tasawwur dimagh raushan hai

ajab majaz-o-haqiqat hai KHitta-e-duniya

jahan pe hans to maile hain zagh raushan hai

visal-e-yar ke lamhe hain aarzi lekin

masham-e-jaan mein magar sabz-bagh raushan hai

abhi hai dasht mein zinda firaq-e-lailai

agarche KHatm fasana suragh raushan hai

ghazal aankhen hain aisi ki kya kahun 'zakir'

gulab chehre pe do do ayagh raushan hai

(1160) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukut-e-shab Mein Dil-e-dagh-dagh Raushan Hai In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Sukut-e-shab Mein Dil-e-dagh-dagh Raushan Hai is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Sukut-e-shab Mein Dil-e-dagh-dagh Raushan Hai for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Sukut-e-shab Mein Dil-e-dagh-dagh Raushan Hai in PDF.