Zamin-e-ishq-o-wafa Pe UDti Hikayaten Bhi Nai Nahin Hain

zamin-e-ishq-o-wafa pe uDti hikayaten bhi nai nahin hain

lahu ki gardish mein raqs karti rifaqaten bhi nai nahin hain

mohabbaton ke ye faisle to KHuda-e-bartar ne likh rakhe hain

kahan talak hum bachaen daman ye chahaten bhi nai nahin hain

agarche dekhe hain zulf-o-lab ke hasin sapne to kya ghalat hai

nazar ke kheton mein KHwab bone ki hasraten bhi nai nahin hain

bahaar aate hi yun laga ki chaman darida-dahan hua hai

gulab-rut mein chaman pe nazil ye aafaten bhi nai nahin hain

pata nahin kyun wo KHush bahut hai fuzul masnad-nashin ho kar

sagan-e-masnad ki fatehana himaqaten bhi nai nahin hain

jhuki nazar se kalam kar ke asir kar le wo aashiqon ko

nazar nazar mein nazar churane ki aadaten bhi nai nahin hain

sanam ki ek ek ada pe 'zakir' nai ghazal ki hai kya zarurat

shararten bhi nai nahin hain nazakaten bhi nai nahin hain

(1142) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin-e-ishq-o-wafa Pe UDti Hikayaten Bhi Nai Nahin Hain In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Zamin-e-ishq-o-wafa Pe UDti Hikayaten Bhi Nai Nahin Hain is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Zamin-e-ishq-o-wafa Pe UDti Hikayaten Bhi Nai Nahin Hain for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Zamin-e-ishq-o-wafa Pe UDti Hikayaten Bhi Nai Nahin Hain in PDF.