Zindagani Ki Haqiqat Tab Hi Khulti Hai Miyan

zindagani ki haqiqat tab hi khulti hai miyan

kar-zar-e-zist ki jab nabz rukti hai miyan

roz hum tamir karte hain fasil-e-jism-o-jaan

roz jism-o-jaan se koi inT girti hai miyan

KHwab se kah do hudud-e-chashm se bahar na ho

aankh se ojhal har ek tabir chubhti hai miyan

kal yahi chehre bahaar-e-husn ki pahchan the

aaj un chehron se gard-e-umr uDti hai miyan

KHwab hasrat ashk uljhan nala-o-faryaad-o-gham

kisht-e-jaan mein roz fasl-e-dard ugti hai miyan

jhuT hai jab KHwahish-e-nam-o-numud-o-taKHt-o-taj

jhuT ki KHwahish mein kyun kar umr kaTti hai miyan

wasl ka darkar hain kuchh hijr ke lamhat bhi

wasl ki KHwahish mein shiddat yun hi baDhti hai miyan

dekh kar 'zakir' gharib-e-shahr ki faqa-kashi

maut apne aap sau sau bar marti hai miyan

(1327) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagani Ki Haqiqat Tab Hi Khulti Hai Miyan In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Zindagani Ki Haqiqat Tab Hi Khulti Hai Miyan is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Zindagani Ki Haqiqat Tab Hi Khulti Hai Miyan for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Zindagani Ki Haqiqat Tab Hi Khulti Hai Miyan in PDF.