Zindagi Yun Bhi Kabhi Mujhko Saza Deti Hai

zindagi yun bhi kabhi mujh ko saza deti hai

ek taswir kitabon se gira deti hai

aap achchhe hain bure hain ki faqat bar-e-hayat

faisla KHalq-e-KHuda KHud hi suna deti hai

kitne nadida manazir se uThati hai naqab

raat aati hai to KHwabon ko jaga deti hai

ab bhi mehrab-e-tamanna mein kasak mazi ki

sham hote hi koi shama jala deti hai

ishq hai rog hi aisa ki nahin is ka ilaj

aatish-e-dil ko dawa aur baDha deti hai

sina-e-sang mein poshida sada-e-farhad

ek ek zarb pe shirin ka pata deti hai

jis ki aaghosh mein hum rose mila karte the

ab wahi sham har ek sham sada deti hai

main kahan aur kahan sher-o-suKHan hai 'zakir'

koi taqat hai jo lafzon ko jila deti hai

(1454) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Yun Bhi Kabhi Mujhko Saza Deti Hai In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Zindagi Yun Bhi Kabhi Mujhko Saza Deti Hai is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Zindagi Yun Bhi Kabhi Mujhko Saza Deti Hai for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Zindagi Yun Bhi Kabhi Mujhko Saza Deti Hai in PDF.