KHud Apni Soch Ke Panchhi Na Apne Bas Mein Rahe

KHud apni soch ke panchhi na apne bas mein rahe

khuli faza ki tamanna thi aur qafas mein rahe

bichhaD ke mujh se azab un pe bhi bahut guzre

wo mutmain na kisi pal kisi baras mein rahe

main ek umr se un ko talash karta hun

kuchh aise lamhe the jo apni dastaras mein rahe

lahu ka zaiqa kaDwa sa lag raha hai mujhe

main chahta hun ki kuchh to miThas ras mein rahe

kisi ka qurb mere dil ki raushni Thahre

kisi ke aane se KHushbu mere nafas mein rahe

suna hai us ki guzarti hai taza phulon mein

'zaman' jis ke liye shahr KHar-o-KHas mein rahe

(1325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apni Soch Ke Panchhi Na Apne Bas Mein Rahe In English By Famous Poet Zaman Kanjahi. KHud Apni Soch Ke Panchhi Na Apne Bas Mein Rahe is written by Zaman Kanjahi. Read famous Poem KHud Apni Soch Ke Panchhi Na Apne Bas Mein Rahe for youth and Student by Zaman Kanjahi. Free Download KHud Apni Soch Ke Panchhi Na Apne Bas Mein Rahe in PDF.