Nazar Mein Kaisa Manzar Bas Gaya Hai

nazar mein kaisa manzar bas gaya hai

bayaban mein samundar bas gaya hai

chamak diwar-o-dar ki kah rahi hai

koi is ghar ke andar bas gaya hai

Thikana mil gaya hai us ko aaKHir

wo mere dil mein aa kar bas gaya hai

mahak uTTha tasawwur ka jahan bhi

koi KHushbu ka paikar bas gaya hai

jo tanhai ke sahra ka makin tha

'zaman' aaj us ka bhi ghar bas gaya hai

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Mein Kaisa Manzar Bas Gaya Hai In English By Famous Poet Zaman Kanjahi. Nazar Mein Kaisa Manzar Bas Gaya Hai is written by Zaman Kanjahi. Read famous Poem Nazar Mein Kaisa Manzar Bas Gaya Hai for youth and Student by Zaman Kanjahi. Free Download Nazar Mein Kaisa Manzar Bas Gaya Hai in PDF.