Gul-posh Baam-o-dar Hain Magar Ghar Mein Kuchh Nahin

gul-posh baam-o-dar hain magar ghar mein kuchh nahin

ye sab nazar ka nur hai manzar mein kuchh nahin

maujon ka iztirab ho ya gauhar-e-hayat

ehsas ka fusun hai samundar mein kuchh nahin

parchhaiyon ka nach hai viran sahn mein

aaseb-e-shab hai aur mere ghar mein kuchh nahin

manzil se be-niyaz chale ja rahe hain log

bhaTke huon ki aankh ke patthar mein kuchh nahin

din raat jhankta hai darichon se zehn ke

afkar ka jamal hai paikar mein kuchh nahin

'zauqi' gali gali mein hain takiye fareb ke

aghraaz ki sada hai qalandar mein kuchh nahin

(927) Peoples Rate This

Zauqi Muzaffar Nagari's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Gul-posh Baam-o-dar Hain Magar Ghar Mein Kuchh Nahin In English By Famous Poet Zauqi Muzaffar Nagari. Gul-posh Baam-o-dar Hain Magar Ghar Mein Kuchh Nahin is written by Zauqi Muzaffar Nagari. Read famous Poem Gul-posh Baam-o-dar Hain Magar Ghar Mein Kuchh Nahin for youth and Student by Zauqi Muzaffar Nagari. Free Download Gul-posh Baam-o-dar Hain Magar Ghar Mein Kuchh Nahin in PDF.