Main Jab Bhi Tere Shahr-e-KHush-asar Se Nikla

main jab bhi tere shahr-e-KHush-asar se nikla

ek qabr ka TukDa bhi falak-zar se nikla

har war mein muzmar teri hikmat hai sipahi

har jit ka muzhda teri talwar se nikla

phir apni hi haibat mein giraftar hua main

phir koi darinda mere pindar se nikla

ye kis ne safine ko nikala hai bhanwar se

ye kaun shanawar hai jo manjdhaar se nikla

kuchh bhi na mila mere KHaridar ko mujh mein

is ka bhi pata chashm-e-KHaridar se nikla

ye kaun hai jo ban ke kiran nach raha hai

ye kaun hai jo rauzan-e-diwar se nikla

us samt nazar aae ghazalan-e-qaba-posh

is samt 'ziya' aql ke aazar se nikla

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jab Bhi Tere Shahr-e-KHush-asar Se Nikla In English By Famous Poet Zia Faruqi. Main Jab Bhi Tere Shahr-e-KHush-asar Se Nikla is written by Zia Faruqi. Read famous Poem Main Jab Bhi Tere Shahr-e-KHush-asar Se Nikla for youth and Student by Zia Faruqi. Free Download Main Jab Bhi Tere Shahr-e-KHush-asar Se Nikla in PDF.