Aankh Se Aansu Dhalka Hota

aankh se aansu Dhalka hota

to phir suraj ubhra hota

kahte kahte gham ka fasana

kaTti raat sawera hota

kashti kyun sahil par Dubi

maujen hotin dariya hota

jo garja pyasi dharti par

kash wo baadal barsa hota

phulon mein chhupne walon ko

kanTon mein to DhunDa hota

tujh ko pana sahl nahin hai

sahl jo hota to kya hota

apne sau begane hote

ek yagana apna hota

puchh 'ziya' ye ahl-e-dil se

pyar na hota to kya hota

(1097) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Se Aansu Dhalka Hota In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Aankh Se Aansu Dhalka Hota is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Aankh Se Aansu Dhalka Hota for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Aankh Se Aansu Dhalka Hota in PDF.