Dil Apna Said-e-tamanna Hai Dekhiye Kya Ho

dil apna said-e-tamanna hai dekhiye kya ho

hawas ko ishq ka sauda hai dekhiye kya ho

kisi ke lamha-e-ulfat ki yaad-e-kaif-awar

dil-e-hazin ka sahaara hai dekhiye kya ho

bacha bacha ke rakha tha jise wahi kashti

supurd-e-mauja-e-dariya hai dekhiye kya ho

sukut-e-but-kada-e-azari se tang aa kar

KHuda ko main ne pukara hai dekhiye kya ho

shakeb-o-sabr ka paimana TuTne par bhi

wahi wafa ka taqaza hai dekhiye kya ho

hazar bar hi dekha hai sochne ka maal

hazar bar hi socha hai dekhiye kya ho

'ziya' jo pi ke na bahka wo rind-e-mai-KHana

piye baghair bahakta hai dekhiye kya ho

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Apna Said-e-tamanna Hai Dekhiye Kya Ho In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Dil Apna Said-e-tamanna Hai Dekhiye Kya Ho is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Dil Apna Said-e-tamanna Hai Dekhiye Kya Ho for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Dil Apna Said-e-tamanna Hai Dekhiye Kya Ho in PDF.