Husn Hai Mohabbat Hai Mausam-e-bahaaran Hai

husn hai mohabbat hai mausam-e-bahaaran hai

kaenat raqsan hai zindagi ghazal-KHwan hai

ishraton ke mutalashi gham se kyun gurezan hai

tirgi ke parde mein raushni ka saman hai

git hain jawani hai abr hai bahaaren hain

muztarib idhar main hun tu udhar pareshan hai

dhup ho ki barish ho tu hai monis-o-hamdam

mujh pe ye tera ehsan ai gham-e-farawan hai

rind buKHl-e-saqi par kis qadar the kal barham

mai-kada hai aaj apna aur tang daman hai

uf do-rangi-e-duniya uf tazad ka aalam

kufr ke ujale hain tirgi-e-iman hai

be-naqab dekha tha KHwab mein unhen ek shab

aaj tak nigahon mein ai 'ziya' charaghan hai

(1514) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Hai Mohabbat Hai Mausam-e-bahaaran Hai In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Husn Hai Mohabbat Hai Mausam-e-bahaaran Hai is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Husn Hai Mohabbat Hai Mausam-e-bahaaran Hai for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Husn Hai Mohabbat Hai Mausam-e-bahaaran Hai in PDF.