Junun Pe Aql Ka Saya Hai Dekhiye Kya Ho

junun pe aql ka saya hai dekhiye kya ho

hawas ne ishq ko ghera hai dekhiye kya ho

gai bahaar magar aaj bhi bahaar ki yaad

dil-e-hazin ka sahaara hai dekhiye kya ho

KHamosh sham-e-mohabbat hai phir bhi husn ki zau

gulon se ta-ba-surayya hai dekhiye kya ho

shab-e-firaq ki baDhti hui siyahi mein

KHuda ko main ne pukara hai dekhiye kya ho

wahi jafaon ka aalam wahi hai mashq-e-sitam

wahi wafa ka taqaza hai dekhiye kya ho

gham-e-butan mein kaTi umr aur ab dil ko

shikayat-e-gham-e-duniya hai dekhiye kya ho

hazar bar hi dekha hai sochne ka maal

hazar bar hi socha hai dekhiye kya ho

mera shabab tera husn aur saya-e-abr

sharab-o-sher muhayya hai dekhiye kya ho

'ziya' jo pi ke na bahka wo rind-e-masti-kosh

piye baghair bahakta hai dekhiye kya ho

(1147) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Pe Aql Ka Saya Hai Dekhiye Kya Ho In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Junun Pe Aql Ka Saya Hai Dekhiye Kya Ho is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Junun Pe Aql Ka Saya Hai Dekhiye Kya Ho for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Junun Pe Aql Ka Saya Hai Dekhiye Kya Ho in PDF.