Lo Aaj Samundar Ke Kinare Pe KhaDa Hun

lo aaj samundar ke kinare pe khaDa hun

gharqab safinon ke sisakne ki sada hun

ek KHak-ba-sar barg hun Tahni se juda hun

joDega mujhe kaun ki main TuT gaya hun

ab bhi mujhe apnae na duniya to karun kya

mahaul se paiman-e-wafa bandh raha hun

mustaqbil-e-but-KHana ka hafiz hai KHuda hi

har but ko ye dawa hai ki ab main hi KHuda hun

afkar-e-do-alam na jhinjhoDen mujhe is waqt

apne hi KHayalat ki daldal mein phansa hun

manzil ka to irfan nahin itni KHabar hai

jis samt se aaya tha usi samt chala hun

muddat hui guzra tha idhar se mera saya

kab se yunhi footpath pe KHamosh paDa hun

hun aap ka bas mujh ko hai itna hi ghanimat

is se koi matlab nahin achchha ki bura hun

pahnao mere panw mein zanjir-e-bu-e-gul

aawara chaman mein sifat-e-baad-e-saba hun

chheDo na mujhe jaan-e-'ziya' fasl-e-junun mein

kya main bhi koi naghma-e-andoh-ruba hun

(1672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lo Aaj Samundar Ke Kinare Pe KhaDa Hun In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Lo Aaj Samundar Ke Kinare Pe KhaDa Hun is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Lo Aaj Samundar Ke Kinare Pe KhaDa Hun for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Lo Aaj Samundar Ke Kinare Pe KhaDa Hun in PDF.