Mere Junun Mein Meri Wafa Mein KHulus Ki Jab Kami Milegi

mere junun mein meri wafa mein KHulus ki jab kami milegi

chaman giraft-e-KHizan mein hoga bahaar ujDi hui milegi

jawan hai himmat hai azm-e-mohkam nazar uThaen to ahl-e-danish

alam ke tarik ufuq pe raushan shua-e-ummid bhi milegi

tasawwur us mah-ru ka hoga kabhi to dil mein ziya-ba-daman

kabhi to zulmat-kade mein hum ko khuli hui chandni milegi

mera pata puchh kar na toDo sukut mera jumud mera

buland mahlon mein rahne walo kahan meri jhonpaDi milegi

ye kor-chashmi ka hai tamasha ki zulmaton ki tahen jami hain

nazar se parda haTa ke dekhen yahan wahan raushni milegi

riwayati paikar-e-ghazal mein bhara hai rang-e-jadid main ne

'ziya' mere sher mein muhayya koi nai baat hi milegi

(1150) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Junun Mein Meri Wafa Mein KHulus Ki Jab Kami Milegi In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Mere Junun Mein Meri Wafa Mein KHulus Ki Jab Kami Milegi is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Mere Junun Mein Meri Wafa Mein KHulus Ki Jab Kami Milegi for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Mere Junun Mein Meri Wafa Mein KHulus Ki Jab Kami Milegi in PDF.