Nazar Nazar Se Milana Koi Mazaq Nahin

nazar nazar se milana koi mazaq nahin

mila ke aankh churana koi mazaq nahin

pahaD kaT to sakta hai tesha-e-farhad

pahaD sar pe uThana koi mazaq nahin

uDanen bharte rahen lakh tairan-e-KHayal

sitare toD ke lana koi mazaq nahin

lahu lahu hai jigar dagh dagh hai sina

ye do dilon ka fasana koi mazaq nahin

hawaen aaj bhi aawara o pareshan hain

mahak gulon ki uDana koi mazaq nahin

hazaron karwaTen lete hain aasman o zamin

gire huon ko uThana koi mazaq nahin

ye aur baat bulaen na apni mahfil mein

magar 'ziya' ko bhulana koi mazaq nahin

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Nazar Se Milana Koi Mazaq Nahin In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Nazar Nazar Se Milana Koi Mazaq Nahin is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Nazar Nazar Se Milana Koi Mazaq Nahin for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Nazar Nazar Se Milana Koi Mazaq Nahin in PDF.