Rag-e-ehsas Mein Nashtar TuTa

rag-e-ehsas mein nashtar TuTa

hath se chhuT ke saghar TuTa

TuTna tha dil-e-nazuk ko na puchh

kab kahan kis liye kyun-kar TuTa

sina dharti ka laraz uTTha hai

aasman se koi aKHtar TuTa

jhuk gaya pa-e-butan par lekin

pattharon se na mera sar TuTa

saKHt-jaani meri tauba tauba

qatl karte the ki KHanjar TuTa

ashk palkon se gira yun jaise

KHushk Tahni se gul-e-tar TuTa

ai 'ziya' ho ke riha zindan se

uDne paya bhi na tha par TuTa

(1000) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Rag-e-ehsas Mein Nashtar TuTa In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Rag-e-ehsas Mein Nashtar TuTa is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Rag-e-ehsas Mein Nashtar TuTa for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Rag-e-ehsas Mein Nashtar TuTa in PDF.