Tu Ne Nazron Ko Bacha Kar Is Tarah Dekha Mujhe

tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe

kyun na kar jata bhari mahfil mein dil tanha mujhe

shaKH-dar-shaKH ab koi DhunDa kare patta mujhe

main to KHud TuTa hun aandhi ne nahin toDa mujhe

laghzish-e-pa ne diya har rah mein dhoka mujhe

ta-dar-e-manzil tu hi ai jazb-e-dil pahuncha mujhe

surat-e-aina hairat se wo takta rah gaya

aaina-KHane mein jis ne ghaur se dekha mujhe

mar hi Dalegi ek din karobar-e-zist mein

tang-damani teri ai wusat-e-duniya mujhe

umr-bhar milti rahi teri adalat se na puchh

meri na-karda-gunahi ki saza kya kya mujhe

barg-e-gul par raqs-e-shabnam ka ye manzar ai 'ziya'

ab to aata hai nazar har qatre mein dariya mujhe

(1287) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Ne Nazron Ko Bacha Kar Is Tarah Dekha Mujhe In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Tu Ne Nazron Ko Bacha Kar Is Tarah Dekha Mujhe is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Tu Ne Nazron Ko Bacha Kar Is Tarah Dekha Mujhe for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Tu Ne Nazron Ko Bacha Kar Is Tarah Dekha Mujhe in PDF.