Yun Hasraton Ki Gard Mein Tha Dil ATa Hua

yun hasraton ki gard mein tha dil aTa hua

jaise daraKHt se koi patta gira hua

ho hi gaya hai nabz-shanas-e-gham-e-jahan

sine mein ishq ke mera dil kanpta hua

milta suragh-e-KHak mujhe mere sae ka

har samt zulmaton ka tha jangal uga hua

kal raat KHwab mein jo muqabil tha aaina

mera hi qad mujhe nazar aaya baDha hua

jaane bhi do wo chand nahin hoga koi aur

pamal aadmi jo hua chand kya hua

bahar ke shor-o-ghul hi se shayad wo bol uThe

baiTha hai kab se chup koi andar chhupa hua

panchhi uDa to KHatm bhi ho jaega 'ziya'

sanson ke aane-jaane ka tanta bandha hua

(1183) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Hasraton Ki Gard Mein Tha Dil ATa Hua In English By Famous Poet Zia Fatehabadi. Yun Hasraton Ki Gard Mein Tha Dil ATa Hua is written by Zia Fatehabadi. Read famous Poem Yun Hasraton Ki Gard Mein Tha Dil ATa Hua for youth and Student by Zia Fatehabadi. Free Download Yun Hasraton Ki Gard Mein Tha Dil ATa Hua in PDF.