Kucha-e-yar Mein Maine Jo Jabin-sai Ki

kucha-e-yar mein main ne jo jabin-sai ki

us ke abba ne meri KHub pazirai ki

main to samjha tha ki wo shaKHs masiha hoga

us ne par sirf meri tara-masihai ki

us ke ghar pe hi raqibon se mulaqat hui

kya sunaun main kahani tujhe paspai ki

mere taya se wo hain umr mein das sal baDi

ghar ke har fard pe dahshat hai meri tai ki

sar khujate jo rahe naKHun-e-tadbir se hum

phir zarurat na rahi hum ko kisi nai ki

wo bhari bazm mein kahti hai mujhe uncle-ji

diplomacy hai ye kaisi meri ham-sai ki

kuchh to badnam hi the ishq-e-butan mein hum log

kuchh raqibon ne bahut hashiya-arai ki

raat hujre mein ilaqe ki police ghus aai

baat to sach hai magar baat hai ruswai ki

main jise hir samajhta tha wo ranjha nikla

baat niyat ki nahin baat hai binai ki

(1167) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kucha-e-yar Mein Maine Jo Jabin-sai Ki In English By Famous Poet Zia-ul-Haq Qasmi. Kucha-e-yar Mein Maine Jo Jabin-sai Ki is written by Zia-ul-Haq Qasmi. Read famous Poem Kucha-e-yar Mein Maine Jo Jabin-sai Ki for youth and Student by Zia-ul-Haq Qasmi. Free Download Kucha-e-yar Mein Maine Jo Jabin-sai Ki in PDF.